Ab tak aapne padha ki Paras ne Muskaan ko mana liya ki uska koi affair nahi hain. Muskaan se baat karte huye Mayur ne puchha ki kya wo Paras ke backup ke taur par Mayur ko dekhti hain aur Muskaan sochne lagi.
Ab aage ki kahaani Mayur ki jubaani jaari hain…
Mayur: “Koi jaldi nahi hain. Tu mujhe achchhe se soch kar 5 minute baad bata dena”
Muskaan: “Achchha! 5 minute bhi kyu wait karna, main abhi bata deti hoon. Tu boyfriend laayak material nahi hain”
Mujhe yeh sunne ki ummeed nahi thi. Paras ke hisaab se to main Muskaan ka backup option tha.
Muskaan: “Tu boyfriend ka to nahi magar husband banne ka material jarur hain”
Muskaan smile kar rahi thi aur yeh sunkar mujhe bahut dilasa mili aur meri bhi smile nikal gayi thi.
Mayur: “Aesa nahi ho sakta ki tu Paras ko apna boyfriend maan le magar shaadi mujhse kar le?”
Muskaan: “Idea to achchha hain magar tum dono ko problem ho jaayegi”
Mayur: “Maine aur Paras ne aaj tak har chij share ki hain”
Muskaan: “Main koi chij nahi hoon, insaan hoon. Ek baat dhyaan rakhna, Paras ke saamne mujhe kabhi ‘I love you’ mat bol dena. Teri jo mere liye feeling hain hum dono ke beech hi rahni chaahiye. Main tujhe allow kar rahi hoon yeh hi badi baat hain”
Thode din baad Muskaan ka birthday aane wala tha aur wo mujhe aur Paras ko hamaare hi ghar par party dene waali thi. Paras ke kahne par main Muskaan ko shopping karaane le gaya jaha uske birtday gift ke taur par usko uski pasand ki dress dilwaayi.
Muskaan ne declare kar diya ki uski birthday party ke baad wo raat ko hamaare yaha hi rukegi. Birthday ki ek raat pehle hi Paras ne mujhko apna agla plan bataya.
Paras: “Jab se maine Muskaan se break-up ka socha hain in mahino mein main aur Muskaan physical nahi huye hain. Muskaan kal raat apni birthday par yaha sirf isliye ruk rahi hain kyuki wo mere saath physical hona chahati hain”
Main ab chinta mein pad gaya. Haalanki Muskaan abhi bhi Paras ki girl friend hain magar aage to main usko apnaane wala tha.
Paras: “Main uske saath kuchh karne ki tujhse permission nahi maang raha hoon”
Mayur: “Matlab tu uske saath sab kar lega?”
Paras: “Nahi. Jaise hi main aur Muskaan kamre mein jayenge to tu baahar se mujhe phone karna. Main bahana maar dunga ki mere uncle ka phone tha hospital se aur emergency mein jana hain”
Yeh sunkar mujhe dilasa mili.
Mayur: “Magar tu chala gaya to phir Muskaan ka kya hoga?”
Paras: “Wo raat ko tere saath rahegi. Tere liye ek aur mauka hain usko apne pyaar ka vishwaas dilaane ka”
Agli shaam Muskaan usi dress ko pahan kar aayi thi jo maine uski birthday gift ke taur par dilwaayi thi. Hum teeno ne achchhe se party ki aur Muskaan ne cake kaata.
Muskaan us din bahut khush thi. Mujhe uska kaaran bhi pata tha. Jab hum sofe par baithhe the to Muskaan ne apne dono haatho se Paras ki ek baaju ko jhakad rakha tha aur sir Paras ke kandhe par rakha hua tha.
Muskaan: “Andar chale kya?”
Paras ne meri taraf dekha to Muskaan ne bhi meri taraf dekha.
Muskaan: “Mayur, tujhe objection naa ho to hum thodi der andar jaaye!”
Maine kandhe uchkaate huye bata diya ki mujhe koi objection nahi hain.
Paras: “Main washroom hokar aata hoon”
Paras andar gaya to maine Muskaan ko dekha aur apna sawaal daag diya.
Mayur: “Aaj se pehle to tuney kabhi meri permission nahi li. Tum dono to yeh sab karte hi the”
Muskaan: “Tuney mujhe ‘I love you’ bola hain. Tujhe bura lagega ki tere saamne hum andar ja rahe hain, isliye puchha”
Mayur: “Main naa karta to tum nahi jaate?”
Muskaan: “Agar tera dil dukhta hain to hum kahi aur karte, tere hote huye is ghar mein nahi karte”
Mayur: “Sach kyu nahi bolti ki tu jaann bujh kar mujhe yeh puchh kar mera dil dukha rahi thi”
Muskaan: “Paagal hain kya! Main tera dil kyu dukhaaungi. Hum jise pasand karte hain uska dil kyu dukhaayenge!”
Mayur: “Kya kaha? Tu mujhe pasand karti hain?”
Muskaan: “Haa, magar tu samajjh raha hain wo wala ‘pasand’ nahi”
Tabhi Paras waha aa gaya aur Muskaan ne meri taraf dekh kar jaise permisson maang li. Maine muskura kar usko permisson de di aur wo Paras ke paas chali gayi.
Paras aur Muskaan bedroom ki taraf badhe aur jaate jaate Paras ne mujhe phone karne ka ishara kar diya. Darwaja band hote hi kuchh seconds ke wait ke baad maine Paras ko phone kiya aur Paras ne apna emergency ka naatak kiya ki usko hospital jana hain.
Agle 2 minute mein Paras bedroom ke baahar aaya aur uske peechhe Muskaan. Paras humko waha chhodkar chala gaya. Muskaan aakar phir se mere paas baithh gayi, wo thodi udaas thi uska bana hua plan bigad gaya tha.
Mayur: “Tumhara program to kharaab ho gaya”
Muskaan: “Tuney jarur boore man se permission di hogi isliye najar lag gayi”
Mayur: “Jinko hum pasand karte hain usko buri najar nahi laga sakte hain. Aur yeh wo wala ‘pasand’ hain jo main chaahta hoon”
Muskaan: “Maine jis ‘pasand’ ki baat ki thi wo dosti wala ‘pasand’ tha”
Mayur: “Mera wala ‘pasand’ to love wala hain”
Muskaan: “Jis din main Paras ke saath shaadi karke chali jaaungi us din tu kya karega?”
Mayur: “Yeh bhi to ho sakta hain ki hum dono ki shaadi ho jaaye”
Muskaan: “Mujhe ab teri bahut chinta ho rahi hain. Tu mujhe lekar itna possessive bhi mat ho ki tujhe problem ho jaaye”
Mayur: “Tu bhi Paras ko lekar itna possessive mat ho ki tujhe problem ho”
Muskaan gambhirta se mera chehra taak rahi thi.
Muskaan: “Tu prove kar ki tu mere liye Paras se kyu behtar hain”
Mayur: “Prove kar bhi diya to kya hoga?”
Muskaan: “Main tujhe apna backup option bana lungi”
Mayur: “Main apne aap ko Paras se behtar saabit kar lu phir bhi main backup hi rahunga kya?”
Muskaan: “Tu prove karna to shuru kar. Kar diya to phir main tere ‘I love you’ ka reply karungi”
Mayur: “Main tujhe Paras se bhi jyada pyar karta hoon. Uske paas tere liye time nahi hain, jab ki main tujhe first priority par rakhta hoon”
Muskaan: “Uske uncle beemar hain, tere honge to tu bhi unko priority dega. Mujhe koi objection nahi hain”
Sach puchho to mere paas koi jawab nahi tha. Paras hi Muskaan ke liye behtar tha. Jo ek baat mere paksh mein thi wo main abhi usko bata nahi sakta tha ki Paras us se break up ka soch raha hain.
Maine aur Muskaan ne bahut der tak aapas mein baat ki jaha main barabar apne pyaar ka ijhaar kar usko batata raha ki main uske liye thheek ladka hoon. Muskaan bhi dhyaan se sunti rahi par mera majaak bhi udaati rahi.
Phr door bell baji. Main uthhkar gaya aur door hole se dekha to Paras ke uncle the jinka yeh ghar tha. Ghar mein main ek ladki ke saath akela tha. Main thoda ghabraya aur bhaagte huye Muskan ke paas aaya aur request ki.
Mayur: “Jaldi se andar room mein chali jaa, Paras ke uncle aaye hain”
Muskaan ne stithi ko samjha aur andar ki taraf bhaagi aur maine darwaja khola.
Uncle: “Hum log ek relative se milkar lautate huye idhaar se nikal rahe the. Socha Paras se mil le”
Mayur: “Paras kisi kaam se thodi der pehle hi nikla hain. Main usko bata dunga ki aap yaha aaye the”
Uncle vidaa lekar chale gaye aur maine darwaja band kiya aur sofe par baithha aur Muskaan ko aawaaj laga kar baahar bulaya. Magar Muskaan waha passage mein hi khadi thi aur chhupkar sab sun rahi thi to pehle hi baahar aa gayi thi.
Muskaan: “Kya yeh woho uncle hain jinka yeh ghar hain?”
Mayur: “Haa, tabhi to tumhe andar bheja. Varna unko lagta hum ladkiyo ko bulaate hain yaha!”
Muskaan: “Paras ke yeh uncle kisi relative se milkar aa rahe hain. Jab ki Paras ne bola ki wo hospital mein hain aur unhi se milne gaya hain”
Ab mera maatha thhanka. Jaldbaaji mein maine dhyaan hi nahi diya ki Paras jo roj bahana maarta hain wo inhi Uncle ko lekar maarta hain aur maine dhyaan hi nahi diya tha.
Muskaan kisi soch mein dub chuki thi aur uska shakki deemag active ho chuka tha.
Muskaan: “Us din jo tuney Sanaya ke baare mein bataya tha wo sach tha na?”
Mayur: “Nahi, wo Paras ka majaak tha”
Muskaan: “Paras ne tujhe bhi dhokhe mein rakha hain. Wo koi majaak nahi tha. Jarur is Paras ka sach mein Sanaya se chakkar chal raha hain aur wo hum dono se chhupa raha hain”
Yeh bolte huye Muskaan ki aawaj tut chuki thi aur wo subakane lagi thi.
Mayur: “Aesa kuchh nahi hain. Koi dusre uncle honge”
Muskaan: “Paras mujhe bolkar gaya hain ki usko uske unhi uncle ka hospital se phone aaya hain jo is ghar ke maalik bhi hain. Is se bada aur kya saboot ho sakta hain ki wo mujhse jhoothh bol raha hain”
Mayur: “Koi dusri emergency bhi to ho sakti hain!”
Muskaan: “Mujhe jhoothh bolne waley pasand nahi hain, main kadava sach sun lungi magar meethha jhoothh nahi”
Main ab Muskaan ko kya bolta, main khud Paras ka us jhoothh mein saath de raha tha.
Next episode mein padhiye kya dono dosto ka jhoothh pakda jaayega.
[email protected]